Chandni raatein toh bahut dekhi
Taare bhi khub,
Par bina andhere ki woh raat hi kya?
Humrahi toh bhut hai,
bhut hain humdil,
Bgair akelepan ke Inka saath hi kya?
Gum toh hai hare ek ke daaman mein
Tab bina aasuoan ke rona hi kya?
Zindagi ne bhut kuch diya hamein,
Par bina khoye ye pana kya hai?
Baharein toh aati jaati hain
Jo in mein bhavaron ke kaam naa aaye,
who bag hi kya hai?
Loha gala sakta hai, faulad jala sakta hai,
Joh khud hi naa jal jaaye
who aag hi kya hai?
No comments:
Post a Comment